zahid teri nigah KHuda-ashna nahin
zāhid tirī nigāh ḳhudā-āshnā nahīñ
tū jāntā zarūr hai pahchāntā nahīñ
jangal ke phuul se hai ibārat mirā nasīb
vo naav huuñ ki jis kā koī nāḳhudā nahīñ
kyā jaane kaise shahr-e-ḳhamoshāñ ke log haiñ
āvāz de rahā huuñ koī boltā nahīñ
hairat hai jis kā tāj-mahal pesh-e-lafz hai
logoñ ne us kitāb ko ab tak paḌhā nahīñ
le aa.ī hai mohabbat-e-insāñ mujhe vahāñ
jis rāste meñ aur koī naqsh-e-pā nahīñ
kyā hogā is safīne kā anjām ai 'nihāl'
tūfāñ se khelne kā jise hausla nahīñ
zahid teri nigah KHuda-ashna nahin
tu jaanta zarur hai pahchanta nahin
jangal ke phul se hai ibarat mera nasib
wo naw hun ki jis ka koi naKHuda nahin
kya jaane kaise shahr-e-KHamoshan ke log hain
aawaz de raha hun koi bolta nahin
hairat hai jis ka taj-mahal pesh-e-lafz hai
logon ne us kitab ko ab tak paDha nahin
le aai hai mohabbat-e-insan mujhe wahan
jis raste mein aur koi naqsh-e-pa nahin
kya hoga is safine ka anjam ai 'nihaal'
tufan se khelne ka jise hausla nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.