zahir fareb nargis-e-mastana ho gaya
zāhir fareb nargis-e-mastāna ho gayā
kuchh hoshiyār ab dil-e-dīvāna ho gayā
aañsū bhare haiñ aañkh meñ us mast-e-husn kī
labrez kis kī umr kā paimāna ho gayā
iz.hār-e-arz-e-vasl ye bāteñ nahīñ vahāñ
ik harf-e-mudda.ā unheñ afsāna ho gayā
pahle kahāñ thā us dil-e-betāb kā ye haal
kambaḳht us ko dekh ke dīvāna ho gayā
hamdam sharīk koī bure vaqt kā nahīñ
jab dil sā dost ishq meñ begāna ho gayā
ishq-e-butāñ meñ ḳhāna-e-dil kā rahā ye haal
ka.aba banā kabhī kabhī but-ḳhāna ho gayā
har mai-parast jāma-e-ke-khusravī meñ thā
labrez jab sharāb se paimāna ho gayā
kī maiñ ne arz-e-vasl to bole raqīb se
kyā hoshiyār shaḳhs thā dīvāna ho gayā
'mahmūd' hai butoñ se vafā kī tujhe umiid
patthar samajh pe paḌ ga.e dīvāna ho gayā
zahir fareb nargis-e-mastana ho gaya
kuchh hoshiyar ab dil-e-diwana ho gaya
aansu bhare hain aankh mein us mast-e-husn ki
labrez kis ki umr ka paimana ho gaya
izhaar-e-arz-e-wasl ye baaten nahin wahan
ek harf-e-muddaa unhen afsana ho gaya
pahle kahan tha us dil-e-betab ka ye haal
kambaKHt us ko dekh ke diwana ho gaya
hamdam sharik koi bure waqt ka nahin
jab dil sa dost ishq mein begana ho gaya
ishq-e-butan mein KHana-e-dil ka raha ye haal
kaba bana kabhi kabhi but-KHana ho gaya
har mai-parast jama-e-ke-khusrawi mein tha
labrez jab sharab se paimana ho gaya
ki main ne arz-e-wasl to bole raqib se
kya hoshiyar shaKHs tha diwana ho gaya
'mahmud' hai buton se wafa ki tujhe umid
patthar samajh pe paD gae diwana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.