zahir ko aaj Talta hun
zāhir ko aaj Tāltā huuñ
bātin tirā khañgāltā huuñ
ai āsmān suraḳh-rū ho
apnā lahū uchhāltā huuñ
ā.īna-dār tū hī ban jā
maiñ ḳhud pe ḳhaak Dāltā huuñ
aa dekh zindagī ki kaise
saa.e meñ jism Dhāltā huuñ
hotā hai sard jab añdherā
sūraj tirā nikāltā huuñ
tū apne āstīñ se nālāñ
ik maiñ ki ḳhud ko pāltā huuñ
'parvez' kaun hai ki jis se
maiñ boltā huuñ chāltā huuñ
zahir ko aaj Talta hun
baatin tera khangalta hun
ai aasman suraKH-ru ho
apna lahu uchhaalta hun
aaina-dar tu hi ban ja
main KHud pe KHak Dalta hun
aa dekh zindagi ki kaise
sae mein jism Dhaalta hun
hota hai sard jab andhera
suraj tera nikalta hun
tu apne aastin se nalan
ek main ki KHud ko palta hun
'parwez' kaun hai ki jis se
main bolta hun chaalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.