zahir mein to majmua-e-ashaar ghazal hai
zahir mein to majmua-e-ashaar ghazal hai
Sabeeha Farhat Sambhali
MORE BYSabeeha Farhat Sambhali
zāhir meñ to majmūa-e-ash.ār ġhazal hai
bātin meñ mahaktā huā gulzār ġhazal hai
matl.a se ba-sad-shān numūdār ġhazal hai
dāman meñ sameTe hue afkār ġhazal hai
āñkhoñ se lagāo ki ise dil meñ basāo
ahbāb kī mānind tarah-dār ġhazal hai
kaise na kareñ ahl-e-nazar is kī satā.ish
phūloñ sī hasīñ aur mahak-dār ġhazal hai
'farhat' hai ravā jab se sitam urdu zabāñ par
ālām-o-masā.ib meñ giraftār ġhazal hai
zahir mein to majmua-e-ashaar ghazal hai
baatin mein mahakta hua gulzar ghazal hai
matla se ba-sad-shan numudar ghazal hai
daman mein sameTe hue afkar ghazal hai
aankhon se lagao ki ise dil mein basao
ahbab ki manind tarah-dar ghazal hai
kaise na karen ahl-e-nazar is ki sataish
phulon si hasin aur mahak-dar ghazal hai
'farhat' hai rawa jab se sitam urdu zaban par
aalam-o-masaib mein giraftar ghazal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.