zahir se bhi bad-tar hai jo haalat hai darun ki
zāhir se bhī bad-tar hai jo hālat hai darūñ kī
phir bhī nahīñ kartā huuñ shikāyat maiñ junūñ kī
ik vasl pe mauqūf hai ab hijr sañbhalnā
is girtī huī chhat ko zarūrat hai sutūñ kī
dil is ko bhī iqrār samajhne pe tulā hai
sau baar jo pūchhā to faqat halkī sī huuñ kī
ab jaao nā tum toḌ ke le aao sitāre
jab kar nahīñ sakte the to phir baat hī kyoñ kī
kuchh ḳhaas rahā hai mirā gardish se ta'alluq
rahne nahīñ detā hai jo bāñhoñ meñ sukūñ kī
zahir se bhi bad-tar hai jo haalat hai darun ki
phir bhi nahin karta hun shikayat main junun ki
ek wasl pe mauquf hai ab hijr sanbhalna
is girti hui chhat ko zarurat hai sutun ki
dil is ko bhi iqrar samajhne pe tula hai
sau bar jo puchha to faqat halki si hun ki
ab jao na tum toD ke le aao sitare
jab kar nahin sakte the to phir baat hi kyon ki
kuchh KHas raha hai mera gardish se ta'alluq
rahne nahin deta hai jo banhon mein sukun ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.