zahiran ye but to hain nazuk gul-e-tar ki tarah
zāhiran ye but to haiñ nāzuk gul-e-tar kī tarah
dil magar hotā hai kam-baḳhtoñ kā patthar kī tarah
jalva-gāh-e-nāz meñ dekh aa.e haiñ sau baar ham
rañg-e-rū-e-yār hai bilkul chuqandar kī tarah
mūnis-e-tanhā.ī jab hotā nahīñ hai ham-ḳhayāl
ghar meñ bhī jhanjhaT huā kartā hai bāhar kī tarah
aap behad nek-tīnat nek-sīrat nek-ḳhū
harkateñ karte haiñ lekin aap bandar kī tarah
jis ke haamī ho ga.e vaa.iz vo baazī le gayā
ahmiyat hai aap kī duniyā meñ joker kī tarah
allāh allāh ye sitam-gar kī qayāmat-ḳhez chaal
roz hañgāma huā kartā hai mahshar kī tarah
pūchhne vaale ġham-e-jānāñ kī shīrīnī na pūchh
ġham ke maare roz uḌāte haiñ muza.afar kī tarah
zeb-e-tan vaa.iz ke dekhī hai qabā-e-zar-nigār
sar pe amāma hai ik dhobī ke gaTThar kī tarah
dost ke īfā-e-va.ada kā hai ab tak intizār
guzrā october november bhī september kī tarah
naaz meñ andāz meñ raftār meñ guftār meñ
ardalī bhī haiñ collector ke collector kī tarah
nashsha-bandī chāhte to haiñ ye haamī diin ke
phir bhī mil jaa.e to pī leñ shīr-e-mādar kī tarah
ho rahā hai jis qadar bhī 'shauq'-sāhab insidād
utnī hī kaTtī hai rishvat muulī gājar kī tarah
zahiran ye but to hain nazuk gul-e-tar ki tarah
dil magar hota hai kam-baKHton ka patthar ki tarah
jalwa-gah-e-naz mein dekh aae hain sau bar hum
rang-e-ru-e-yar hai bilkul chuqandar ki tarah
munis-e-tanhai jab hota nahin hai ham-KHayal
ghar mein bhi jhanjhaT hua karta hai bahar ki tarah
aap behad nek-tinat nek-sirat nek-KHu
harkaten karte hain lekin aap bandar ki tarah
jis ke hami ho gae waiz wo bazi le gaya
ahmiyat hai aap ki duniya mein joker ki tarah
allah allah ye sitam-gar ki qayamat-KHez chaal
roz hangama hua karta hai mahshar ki tarah
puchhne wale gham-e-jaanan ki shirini na puchh
gham ke mare roz uDate hain muzafar ki tarah
zeb-e-tan waiz ke dekhi hai qaba-e-zar-nigar
sar pe amama hai ek dhobi ke gaTThar ki tarah
dost ke ifa-e-wada ka hai ab tak intizar
guzra october nowember bhi september ki tarah
naz mein andaz mein raftar mein guftar mein
ardali bhi hain collector ke collector ki tarah
nashsha-bandi chahte to hain ye hami din ke
phir bhi mil jae to pi len shir-e-madar ki tarah
ho raha hai jis qadar bhi 'shauq'-sahab insidad
utni hi kaTti hai rishwat muli gajar ki tarah
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.