zahiri aankh se pinhan tum ho
zāhirī aañkh se pinhāñ tum ho
dīda-e-dil se numāyāñ tum ho
ġhuncha-o-lāla-o-raihāñ tum ho
ye gulistāñ kā gulistāñ tum ho
har tasavvur se numāyāñ ho kar
har tasavvur se gurezāñ tum ho
dekh kar jis ko ḳhudā yaad aa.e
ba-ḳhudā tum ho vo insāñ tum ho
kho ga.e ek tajallī meñ kalīm
barq-e-sad-tūr-badāmāñ tum ho
qismat-e-jalva-e-hairāñ maiñ huuñ
qismat-e-dīda-e-hairāñ tum ho
dil tumhārā hai ki tum ho dil ke
mezbāñ tum ho ki mehmāñ tum ho
zahiri aankh se pinhan tum ho
dida-e-dil se numayan tum ho
ghuncha-o-lala-o-raihan tum ho
ye gulistan ka gulistan tum ho
har tasawwur se numayan ho kar
har tasawwur se gurezan tum ho
dekh kar jis ko KHuda yaad aae
ba-KHuda tum ho wo insan tum ho
kho gae ek tajalli mein kalim
barq-e-sad-tur-badaman tum ho
qismat-e-jalwa-e-hairan main hun
qismat-e-dida-e-hairan tum ho
dil tumhaara hai ki tum ho dil ke
mezban tum ho ki mehman tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.