zalim ke aage sar ko jhukaya nahin kabhi
zalim ke aage sar ko jhukaya nahin kabhi
Zubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
MORE BYZubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
zālim ke aage sar ko jhukāyā nahīñ kabhī
ya.anī ki qad ko apne ghaTāyā nahīñ kabhī
duniyā ne mere dil ko dukhāyā hai baar baar
maiñ ne kisī ke dil ko dukhāyā nahīñ kabhī
ġham ye nahīñ ki chhoḌ ke mujh ko chalā gayā
ġham ye hai phir vo lauT ke aaya nahīñ kabhī
ik vo hai mujh ko yaad bhī kartā nahīñ magar
ik maiñ huuñ jis ne us ko bhulāyā nahīñ kabhī
yuuñ to ḳhudā ne mujh ko sabhī kuchh atā kiyā
par jo maiñ chāhtā thā vo paayā nahīñ kabhī
us kī taraf se dosto tark-e-vafā ke baad
maiñ bhī use nigāh meñ laayā nahīñ kabhī
maiñ to vafā nibhātā rahā umr bhar 'malik'
us ne hī apnā farz nibhāyā nahīñ kabhī
zalim ke aage sar ko jhukaya nahin kabhi
yani ki qad ko apne ghaTaya nahin kabhi
duniya ne mere dil ko dukhaya hai bar bar
main ne kisi ke dil ko dukhaya nahin kabhi
gham ye nahin ki chhoD ke mujh ko chala gaya
gham ye hai phir wo lauT ke aaya nahin kabhi
ek wo hai mujh ko yaad bhi karta nahin magar
ek main hun jis ne us ko bhulaya nahin kabhi
yun to KHuda ne mujh ko sabhi kuchh ata kiya
par jo main chahta tha wo paya nahin kabhi
us ki taraf se dosto tark-e-wafa ke baad
main bhi use nigah mein laya nahin kabhi
main to wafa nibhata raha umr bhar 'malik'
us ne hi apna farz nibhaya nahin kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.