zalim se mohabbat ka sila mang rahe hain
zālim se mohabbat kā sila maañg rahe haiñ
nādān haiñ patthar se vafā maañg rahe haiñ
phir aur koī sāzish-e-rangīñ to nahīñ hai
vo aaj mire haq meñ du'ā maañg rahe haiñ
altāf-o-karam aap ke auroñ ko mubārak
ham aap se jiine kī adā maañg rahe haiñ
ham murtakib-e-jurm-e-vafā ho to chuke haiñ
do jurm-e-mohabbat kī sazā maañg rahe haiñ
jab mujh se koī un kā ta'alluq nahīñ 'dānish'
phir kyoñ mire jiine kī du'ā maañg rahe haiñ
zalim se mohabbat ka sila mang rahe hain
nadan hain patthar se wafa mang rahe hain
phir aur koi sazish-e-rangin to nahin hai
wo aaj mere haq mein du'a mang rahe hain
altaf-o-karam aap ke auron ko mubarak
hum aap se jine ki ada mang rahe hain
hum murtakib-e-jurm-e-wafa ho to chuke hain
do jurm-e-mohabbat ki saza mang rahe hain
jab mujh se koi un ka ta'alluq nahin 'danish'
phir kyon mere jine ki du'a mang rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.