zanu par uske raat raha sar tamam raat
zaanū par us ke raat rahā sar tamām raat
pesh-e-nazar rahā ruḳh-e-dilbar tamām raat
kis se kahūñ kaTī mirī kyūñkar tamām raat
taḌpā kiyā mirā dil-e-muztar tamām raat
baiThā rahā huuñ shaam se aksar tamām raat
gintā rahā huuñ hijr meñ aḳhtar tamām raat
aisā bañdhā tasavvur-e-abrū ki ḳhvāb meñ
kaaTā kiyā galā dam-e-ḳhanjar tamām raat
kyā jāntā hai vahshat-e-shab-hā-e-tār ko
kaaTī ho jaise sham.a jalā kar tamām raat
ho garche be-navā vahī sultān-e-vaqt hai
jis ko hai vasl-e-yār mayassar tamām raat
ai 'ājiz' un kī kyoñ na duā mustajāb ho
karte haiñ jo ibādat-e-dāvar tamām raat
zanu par us ke raat raha sar tamam raat
pesh-e-nazar raha ruKH-e-dilbar tamam raat
kis se kahun kaTi meri kyunkar tamam raat
taDpa kiya mera dil-e-muztar tamam raat
baiTha raha hun sham se aksar tamam raat
ginta raha hun hijr mein aKHtar tamam raat
aisa bandha tasawwur-e-abru ki KHwab mein
kaTa kiya gala dam-e-KHanjar tamam raat
kya jaanta hai wahshat-e-shab-ha-e-tar ko
kaTi ho jaise shama jala kar tamam raat
ho garche be-nawa wahi sultan-e-waqt hai
jis ko hai wasl-e-yar mayassar tamam raat
ai 'ajiz' un ki kyon na dua mustajab ho
karte hain jo ibaadat-e-dawar tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.