zat jab bhi uDan tak pahunchi
zaat jab bhī uḌaan tak pahuñchī
vus.at-e-lā-makān tak pahuñchī
jab haqīqat gumān tak pahuñchī
ik na.e imtihān tak pahuñchī
baat phailā.ī thī jo dushman ne
dekho vo mehrbān tak pahuñchī
kashtiyāñ sab jalā ke aa.ī thī
jab vo tere makān tak pahuñchī
ik tirā naam kyā liyā ham ne
baat tīr-o-kamān tak pahuñchī
rāz-dāñ se kahī thī chupke se
baat saare jahān tak pahuñchī
ab tire intizār meñ ai dost
muskurāhaT thakān tak pahuñchī
oḌh kar zabt kī ridā paiham
hausle kī chaTān tak pahuñchī
āḳhir-e-shab duā 'masarrat' kī
jā ke phir āsmān tak pahuñchī
zat jab bhi uDan tak pahunchi
wusat-e-la-makan tak pahunchi
jab haqiqat guman tak pahunchi
ek nae imtihan tak pahunchi
baat phailai thi jo dushman ne
dekho wo mehrban tak pahunchi
kashtiyan sab jala ke aai thi
jab wo tere makan tak pahunchi
ek tera nam kya liya hum ne
baat tir-o-kaman tak pahunchi
raaz-dan se kahi thi chupke se
baat sare jahan tak pahunchi
ab tere intizar mein ai dost
muskurahaT thakan tak pahunchi
oDh kar zabt ki rida paiham
hausle ki chaTan tak pahunchi
aaKHir-e-shab dua 'masarrat' ki
ja ke phir aasman tak pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.