zat ka apni eatibar gaya
zaat kā apnī e.atibār gayā
ek baazī maiñ aur haar gayā
nāḳhudā kashtī-e-mohabbat kā
kis bhañvar meñ mujhe utaar gayā
kaise chhoḌā hai us ne tīr-e-nazar
dil meñ aTkā na dil ke paar gayā
ab ke bhī pichhle saal kī mānind
yūñhī ye mausam-e-bahār gayā
jām-e-labrez mujh tak aate hī
zehn kā mere ḳhalfishār gayā
maiñ ne ghabrā ke sī liyā dāman
daao maiñ jiit ke bhī haar gayā
āshtī ho ga.ī garebāñ se
haath se ye bhī kārobār gayā
ḳhuld kī avvalīñ baġhāvat par
dhyān merā bhī baar baar gayā
aaj phir aa ga.e haiñ vo 'rāhat'
aaj phir lutf-e-intizār gayā
zat ka apni eatibar gaya
ek bazi main aur haar gaya
naKHuda kashti-e-mohabbat ka
kis bhanwar mein mujhe utar gaya
kaise chhoDa hai us ne tir-e-nazar
dil mein aTka na dil ke par gaya
ab ke bhi pichhle sal ki manind
yunhi ye mausam-e-bahaar gaya
jam-e-labrez mujh tak aate hi
zehn ka mere KHalfishaar gaya
main ne ghabra ke si liya daman
dao main jit ke bhi haar gaya
aashti ho gai gareban se
hath se ye bhi karobar gaya
KHuld ki awwalin baghawat par
dhyan mera bhi bar bar gaya
aaj phir aa gae hain wo 'rahat'
aaj phir lutf-e-intizar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.