zat ka gahra andhera hai bikhar ja mujh mein
zaat kā gahrā añdherā hai bikhar jā mujh meñ
Dūbtī shaam ke sūraj tū utar jā mujh meñ
ibn-e-ādam huuñ maiñ shahzāda-e-ta.amīr-e-hayāt
tū jo bigḌā ho to ai vaqt sañvar jā mujh meñ
phir se ik shakl na.ī tujh ko atā kar dūñgā
ai mirī ziist kisī roz tū mar jā mujh meñ
aa.e aur biit ga.e kitne hī sāvan lekin
koī jazba koī bādal nahīñ garjā mujh meñ
saḳht-jānī pe mirī kartī hai duniyā hairat
zindagī apnā koī zahr hī bhar jā mujh meñ
terī pairāhan-e-alfāz se taz.īn karūñ
ai mire karb zarā der Thahar jā mujh meñ
ruuh kā dasht huuñ sahrā-e-taḳhayyul huuñ maiñ
har taraf ek udāsī hai guzar jā mujh meñ
ye sadā-e-pas-e-anfās kā parda kab tak
tū kahīñ hai to taḌap aur ubhar jā mujh meñ
rañg huuñ giit huuñ naġhma huuñ maiñ ḳhushbū huuñ 'shakīl'
ziist hī ziist hai bikhrī huī har jā mujh meñ
zat ka gahra andhera hai bikhar ja mujh mein
Dubti sham ke suraj tu utar ja mujh mein
ibn-e-adam hun main shahzada-e-tamir-e-hayat
tu jo bigDa ho to ai waqt sanwar ja mujh mein
phir se ek shakl nai tujh ko ata kar dunga
ai meri zist kisi roz tu mar ja mujh mein
aae aur bit gae kitne hi sawan lekin
koi jazba koi baadal nahin garja mujh mein
saKHt-jaani pe meri karti hai duniya hairat
zindagi apna koi zahr hi bhar ja mujh mein
teri pairahan-e-alfaz se tazin karun
ai mere karb zara der Thahar ja mujh mein
ruh ka dasht hun sahra-e-taKHayyul hun main
har taraf ek udasi hai guzar ja mujh mein
ye sada-e-pas-e-anfas ka parda kab tak
tu kahin hai to taDap aur ubhar ja mujh mein
rang hun git hun naghma hun main KHushbu hun 'shakil'
zist hi zist hai bikhri hui har ja mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.