zat ke baad mukafat mein aa jate hain
zaat ke baa'd mukāfāt meñ aa jaate haiñ
log kam-zarf ḳhurāfāt meñ aa jaate haiñ
tab ḳhudā kī kisī hikmat pe yaqīñ aatā hai
jab abābīl bhī arfāt meñ aa jaate haiñ
ghar kī daulat ko sar-e-'ām luTāne vaale
baap martā hai to auqāt meñ aa jaate haiñ
yaad bachpan kī satā.e to suhūlat ke liye
titliyāñ dekhne bāġhāt meñ aa jaate haiñ
ab bhī maañ baap ke purkhoñ ko salāmī dene
shahr ke log mazāfāt meñ aa jaate haiñ
zat ke ba'd mukafat mein aa jate hain
log kam-zarf KHurafat mein aa jate hain
tab KHuda ki kisi hikmat pe yaqin aata hai
jab ababil bhi arfat mein aa jate hain
ghar ki daulat ko sar-e-'am luTane wale
bap marta hai to auqat mein aa jate hain
yaad bachpan ki satae to suhulat ke liye
titliyan dekhne baghat mein aa jate hain
ab bhi man bap ke purkhon ko salami dene
shahr ke log mazafat mein aa jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.