zat ki tirgi ka nauha hain
zaat kī tīrgī kā nauha haiñ
sher kyā haiñ darūñ kā girya haiñ
maiñ samundar kabhī nahīñ thī magar
mere pairoñ meñ saare dariyā haiñ
ab tire baad ye mirī āñkheñ
rañj kā mustaqil Thikāna haiñ
ai mire ḳhvāb chhīnñe vaale
ye mirā āḳhirī asāsa haiñ
jo tire sāmne bhī ḳhālī rahā
ham tirī diid kā vo kaasa haiñ
khel yā toḌ ab tirī marzī
ham tire haath meñ khilaunā haiñ
eid ke din ye sogvār āñkheñ
bad-shugūnī kā isti.āra haiñ
ham udāsī ke is dabistāñ kā
āḳhirī mustanad havāla haiñ
zat ki tirgi ka nauha hain
sher kya hain darun ka girya hain
main samundar kabhi nahin thi magar
mere pairon mein sare dariya hain
ab tere baad ye meri aankhen
ranj ka mustaqil Thikana hain
ai mere KHwab chhinne wale
ye mera aaKHiri asasa hain
jo tere samne bhi KHali raha
hum teri did ka wo kasa hain
khel ya toD ab teri marzi
hum tere hath mein khilauna hain
eid ke din ye sogwar aankhen
bad-shuguni ka istiara hain
hum udasi ke is dabistan ka
aaKHiri mustanad hawala hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.