zat-o-sifat ka teri raaz ayan nihan bhi hai
zat-o-sifat ka teri raaz ayan nihan bhi hai
Prem Narayan Saxena Raz
MORE BYPrem Narayan Saxena Raz
zāt-o-sifāt kā tirī raaz ayaañ nihāñ bhī hai
dil meñ yaqīñ kī shakl hai aañkh meñ to gumāñ bhī hai
vaqt kī maslahat se kuchh maiñ huuñ ḳhamosh varna aaj
ḳhāma-ba-dast hī nahīñ muñh meñ mire zabāñ bhī hai
merā tajassus-e-havās mujh ko bañdhā rahā hai aas
jism ke is jahāñ se duur ruuh kā ik jahāñ bhī hai
jis meñ ġham-e-jahāñ faqat sūrat-e-yak-habāb hai
dil meñ vo terā jazb-e-shauq qulzum-e-be-karāñ bhī hai
vus.at-e-arsh-o-farsh meñ azm-o-amal se aadmī
simTe to ek zarra hai phaile to ik jahāñ bhī hai
'rāz' ba-ġhaur dekh tū sar se bashar ko paañv tak
sang bhī hai sharar bhī hai aag bhī hai dhuāñ bhī hai
zat-o-sifat ka teri raaz ayan nihan bhi hai
dil mein yaqin ki shakl hai aankh mein to guman bhi hai
waqt ki maslahat se kuchh main hun KHamosh warna aaj
KHama-ba-dast hi nahin munh mein mere zaban bhi hai
mera tajassus-e-hawas mujh ko bandha raha hai aas
jism ke is jahan se dur ruh ka ek jahan bhi hai
jis mein gham-e-jahan faqat surat-e-yak-habab hai
dil mein wo tera jazb-e-shauq qulzum-e-be-karan bhi hai
wusat-e-arsh-o-farsh mein azm-o-amal se aadmi
simTe to ek zarra hai phaile to ek jahan bhi hai
'raaz' ba-ghaur dekh tu sar se bashar ko panw tak
sang bhi hai sharar bhi hai aag bhi hai dhuan bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.