Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zat uski koi ajab shai hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

zat uski koi ajab shai hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    zaat us koī ajab shai hai

    jis se sab vāqa.ī ajab shai hai

    vāqa.ī āshiqī ajab shai hai

    āshiqī vāqa.ī ajab shai hai

    jis ke dil ko lagī vahī jaane

    jān-e-man dil-lagī ajab shai hai

    is meñ hargiz nahīñ hai jā-e-suḳhan

    al-ġharaz ḳhāmushī ajab shai hai

    be-ḳhudī gar ho ḳhud to aa ke mile

    ai ḳhudā be-ḳhudī ajab shai hai

    us pe martā huuñ vaqt-e-bos-o-kanār

    terā kahnā na ajab shai hai

    ek se tiis din nibāh ki dost

    ek se dostī ajab shai hai

    muñh pe kah denā aib aib hai ye

    aib-poshī ajī ajab shai hai

    kyā dhuāñ-dār shola-rū hai banā

    uudī poshāk bhī ajab shai hai

    aarsī us se ahl-e-dīd ko hai

    mat kaho aarsī ajab shai hai

    sarv ko us ke qad se kyā nisbat

    munsifo rāstī ajab shai hai

    qibla-o-ka.aba is ko samjhe hai

    haram-e-shaiḳh-jī ajab shai hai

    ek bosa na do na tiin na chaar

    yaar munsifī ajab shai hai

    hoñT hote haiñ vaqt-e-ḳhanda judā

    chup bhalī ḳhāmushī ajab shai hai

    zat us ki koi ajab shai hai

    jis se sab waqai ajab shai hai

    waqai aashiqi ajab shai hai

    aashiqi waqai ajab shai hai

    jis ke dil ko lagi wahi jaane

    jaan-e-man dil-lagi ajab shai hai

    is mein hargiz nahin hai ja-e-suKHan

    al-gharaz KHamushi ajab shai hai

    be-KHudi gar ho KHud to aa ke mile

    ai KHuda be-KHudi ajab shai hai

    us pe marta hun waqt-e-bos-o-kanar

    tera kahna na ji ajab shai hai

    ek se tis din nibah ki dost

    ek se dosti ajab shai hai

    munh pe kah dena aib aib hai ye

    aib-poshi aji ajab shai hai

    kya dhuan-dar shola-ru hai bana

    udi poshak bhi ajab shai hai

    aarsi us se ahl-e-did ko hai

    mat kaho aarsi ajab shai hai

    sarw ko us ke qad se kya nisbat

    munsifo rasti ajab shai hai

    qibla-o-kaba is ko samjhe hai

    haram-e-shaiKH-ji ajab shai hai

    ek bosa na do na tin na chaar

    yar ji munsifi ajab shai hai

    honT hote hain waqt-e-KHanda juda

    chup bhali KHamushi ajab shai hai

    Source :
    • Kulliyat-e-Ehsan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now