zawiye bahaaron ke sab hasin hote hain
zāviye bahāroñ ke sab hasīn hote haiñ
jhuuT ke sabhī mausam be-yaqīn hote haiñ
ham bhī jaan kar un se ahd-o-paimāñ karte haiñ
us ke jhūTe va.ade bhī dil-nashīn hote haiñ
jhelte haiñ saarā dukh lab pe kuchh nahīñ laate
dard kī rifāqat ke jo amiin hote haiñ
siip meñ hī rahte haiñ sūrat-e-sadaf ban kar
dil meñ yaad ke motī yuuñ makīn hote haiñ
ustuvār rakhte haiñ zindagī se sab rishte
ishq karne vaale bhī kyā zahīn hote haiñ
zawiye bahaaron ke sab hasin hote hain
jhuT ke sabhi mausam be-yaqin hote hain
hum bhi jaan kar un se ahd-o-paiman karte hain
us ke jhuTe wade bhi dil-nashin hote hain
jhelte hain sara dukh lab pe kuchh nahin late
dard ki rifaqat ke jo amin hote hain
sip mein hi rahte hain surat-e-sadaf ban kar
dil mein yaad ke moti yun makin hote hain
ustuwar rakhte hain zindagi se sab rishte
ishq karne wale bhi kya zahin hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.