zaya hua tamam hunar nind aa gai
zaayā huā tamām hunar niiñd aa ga.ī
shab ko sajā rahā thā magar niiñd aa ga.ī
maiñ chāhtā to ye huuñ kahānī tavīl ho
phir ye bhī sochtā huuñ agar niiñd aa ga.ī
karvaT badal lī donoñ ne ik ḳhāmushī ke baad
maiñ ro paḌā aur us ko udhar niiñd aa ga.ī
daftar meñ tai kiyā thā ki taare gineñge aaj
lekin hameñ pahuñchte hī ghar niiñd aa ga.ī
kuchh dostoñ ne aane se inkār kar diyā
kuchh dostoñ ko biich safar niiñd aa ga.ī
ik raat umr bhar kī thakan kā sabab ai dost
ham soch hī rahe the magar niiñd aa ga.ī
zaya hua tamam hunar nind aa gai
shab ko saja raha tha magar nind aa gai
main chahta to ye hun kahani tawil ho
phir ye bhi sochta hun agar nind aa gai
karwaT badal li donon ne ek KHamushi ke baad
main ro paDa aur us ko udhar nind aa gai
daftar mein tai kiya tha ki tare ginenge aaj
lekin hamein pahunchte hi ghar nind aa gai
kuchh doston ne aane se inkar kar diya
kuchh doston ko bich safar nind aa gai
ek raat umr bhar ki thakan ka sabab ai dost
hum soch hi rahe the magar nind aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.