zaban-e-mai-kada mein jis ko mai-kash jam kahte hain
zaban-e-mai-kada mein jis ko mai-kash jam kahte hain
Ehsan Darbhangavi
MORE BYEhsan Darbhangavi
zabān-e-mai-kada meñ jis ko mai-kash jaam kahte haiñ
use ham apne dil kā dūsrā ik naam kahte haiñ
hadīs-e-zulf-o-ruḳh kyā haal sub.h-o-shām kahte haiñ
ġham-e-jānāñ ke parde meñ ġham-e-ayyām kahte haiñ
tabassum ne kahī thī dāstāñ āġhāz-e-ulfat kī
suno ab āñsuoñ se qissa-e-anjām kahte haiñ
tumhārī añkhḌiyoñ meñ hai sahar gangā ke sāhil kī
magar mai-ḳhvār us ko mai-kade kī shaam kahte haiñ
tirī zulf-e-siyah se ḳhāl-e-ruḳh kā jo bhī rishta ho
asīrān-e-mohabbat daana zer-e-dām kahte haiñ
tire dard-e-mohabbat ko zamāna ik maraz kah le
magar ham to ilāj-e-gardish-e-ayyām kahte haiñ
dil-e-afsurda ko 'ehsān' tum sham'-e-sahar kah lo
magar ahbāb to is ko charāġh-e-shām kahte haiñ
zaban-e-mai-kada mein jis ko mai-kash jam kahte hain
use hum apne dil ka dusra ek nam kahte hain
hadis-e-zulf-o-ruKH kya haal subh-o-sham kahte hain
gham-e-jaanan ke parde mein gham-e-ayyam kahte hain
tabassum ne kahi thi dastan aaghaz-e-ulfat ki
suno ab aansuon se qissa-e-anjam kahte hain
tumhaari ankhDiyon mein hai sahar ganga ke sahil ki
magar mai-KHwar us ko mai-kade ki sham kahte hain
teri zulf-e-siyah se KHal-e-ruKH ka jo bhi rishta ho
asiran-e-mohabbat dana zer-e-dam kahte hain
tere dard-e-mohabbat ko zamana ek maraz kah le
magar hum to ilaj-e-gardish-e-ayyam kahte hain
dil-e-afsurda ko 'ehsan' tum sham'-e-sahar kah lo
magar ahbab to is ko charagh-e-sham kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.