zaban-e-shama khulti hai na kuchh parwana kahta hai
zaban-e-shama khulti hai na kuchh parwana kahta hai
Kaifi Chirayyakoti
MORE BYKaifi Chirayyakoti
zabān-e-sham.a khultī hai na kuchh parvāna kahtā hai
magar saarā zamāna bazm kā afsāna kahtā hai
ba-qadr-e-zarf qismat mere saaqī kī ināyat hai
koī paimāna kahtā hai koī mai-ḳhāna kahtā hai
hijāb-e-lāla-o-gul ko mah-o-anjum ke parde ko
vahī kahtā huuñ maiñ jo jalva-e-jānāna kahtā hai
shab ġham meñ jo apne dil se kuchh kahne ko kahtā huuñ
to jis se baḳht so jaa.e vahī afsāna kahtā hai
ḳhudā kahte haiñ kah lene do tum arbāb-e-millat ko
mohabbat to yahī kahtī hai jo dīvāna kahtā hai
yahī īmān-e-mastī hai yahī hai diin mastoñ kā
vahī hotā hai jo kuchh sāqi-e-mai-ḳhāna kahtā hai
yahī 'kaifī' yahī hai be-piye saaqī kā matvālā
qadam mastāna rakhtā hai suḳhan mastāna kahtā hai
zaban-e-shama khulti hai na kuchh parwana kahta hai
magar sara zamana bazm ka afsana kahta hai
ba-qadr-e-zarf qismat mere saqi ki inayat hai
koi paimana kahta hai koi mai-KHana kahta hai
hijab-e-lala-o-gul ko mah-o-anjum ke parde ko
wahi kahta hun main jo jalwa-e-jaanana kahta hai
shab gham mein jo apne dil se kuchh kahne ko kahta hun
to jis se baKHt so jae wahi afsana kahta hai
KHuda kahte hain kah lene do tum arbab-e-millat ko
mohabbat to yahi kahti hai jo diwana kahta hai
yahi iman-e-masti hai yahi hai din maston ka
wahi hota hai jo kuchh saqi-e-mai-KHana kahta hai
yahi 'kaifi' yahi hai be-piye saqi ka matwala
qadam mastana rakhta hai suKHan mastana kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.