zaban ho chup to tewar bolte hain
zabāñ ho chup to tevar bolte haiñ
pas-e-manzar se manzar se bolte haiñ
bas ik tū hī to hai vo jis ke haq meñ
zamīñ zarrāt patthar bolte haiñ
lahū gar tarjumān-e-bandagī ho
gale tak aa ke ḳhanjar bolte haiñ
maiñ vo qaidī huuñ jis se ḳhalvatoñ meñ
gale ke tauq-o-lañgar bolte haiñ
sar-e-mahfil jo kuchh ḳhāmosh se haiñ
vo tanhā.ī meñ aksar bolte haiñ
zaban ho chup to tewar bolte hain
pas-e-manzar se manzar se bolte hain
bas ek tu hi to hai wo jis ke haq mein
zamin zarraat patthar bolte hain
lahu gar tarjuman-e-bandagi ho
gale tak aa ke KHanjar bolte hain
main wo qaidi hun jis se KHalwaton mein
gale ke tauq-o-langar bolte hain
sar-e-mahfil jo kuchh KHamosh se hain
wo tanhai mein aksar bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.