zaban izhaar lahja bhul jaun
zabāñ iz.hār lahja bhuul jā.ūñ
mire ma.abūd kyā kyā bhuul jā.ūñ
bikhar jā.ūñ zamīñ se āsmāñ tak
phir aisā ho simaTnā bhuul jā.ūñ
maiñ terā naam itnī baar likkhūñ
ki apnā naam likhnā bhuul jā.ūñ
tirī parchhā.īñ to le aa.uuñ ghar tak
kahīñ apnā hī saaya bhuul jā.ūñ
tirī āvāz to pahchān lūñgā
ye mumkin hai ki chehra bhuul jā.ūñ
kabhī ye bhī to ho bhaTkūñ jahāñ meñ
aur apne ghar kā rasta bhuul jā.ūñ
junūn-e-bandagī kī laaj rakhnā
agar ādāb-e-sajda bhuul jā.ūñ
maiñ kab tak sochtā rahtā jahāñ ko
yahī behtar thā jiinā bhuul jā.ūñ
zaban izhaar lahja bhul jaun
mere mabud kya kya bhul jaun
bikhar jaun zamin se aasman tak
phir aisa ho simaTna bhul jaun
main tera nam itni bar likkhun
ki apna nam likhna bhul jaun
teri parchhain to le aaun ghar tak
kahin apna hi saya bhul jaun
teri aawaz to pahchan lunga
ye mumkin hai ki chehra bhul jaun
kabhi ye bhi to ho bhaTkun jahan mein
aur apne ghar ka rasta bhul jaun
junun-e-bandagi ki laj rakhna
agar aadab-e-sajda bhul jaun
main kab tak sochta rahta jahan ko
yahi behtar tha jina bhul jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.