zaban kar ke muqaffal tum sadaen chahte ho
zaban kar ke muqaffal tum sadaen chahte ho
Ameeta Parsuram Meeta
MORE BYAmeeta Parsuram Meeta
zabāñ kar ke muqaffal tum sadā.eñ chāhte ho
sazā dete ho pahle phir du'ā.eñ chāhte ho
ghuTan hai dard hai dil meñ chhupī tanhā.ī hai
sisaktī hai mohabbat tum adā.eñ chāhte ho
kiyā barbād qudrat ko kuchal Daalā magar ab
mahaktī sī fazā.eñ aur ghaTā.eñ chāhte ho
simaT kar zaat meñ apnī qafas meñ qaid ho kar
tumheñ parvāz kī zid hai havā.eñ chāhte ho
suno ḳhud-ġharziyoñ kī koī to ho intihā nā
jafā kar ke hamīñ se tum vafā.eñ chāhte ho
zamīñ aur āsmāñ aa.e na tum ko raas 'mītā'
nahīñ hairat ki ab tum bhī ḳhalā.eñ chāhte ho
zaban kar ke muqaffal tum sadaen chahte ho
saza dete ho pahle phir du'aen chahte ho
ghuTan hai dard hai dil mein chhupi tanhai hai
sisakti hai mohabbat tum adaen chahte ho
kiya barbaad qudrat ko kuchal Dala magar ab
mahakti si fazaen aur ghaTaen chahte ho
simaT kar zat mein apni qafas mein qaid ho kar
tumhein parwaz ki zid hai hawaen chahte ho
suno KHud-gharziyon ki koi to ho intiha na
jafa kar ke hamin se tum wafaen chahte ho
zamin aur aasman aae na tum ko ras 'mita'
nahin hairat ki ab tum bhi KHalaen chahte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.