zaban kaTi so kaTi bahs muKHtasar to hui
zabāñ kaTī so kaTī bahs muḳhtasar to huī
jo baat maiñ ne kahī thī vo mo'atabar to huī
ye din to raat meñ Dhaltā nazar nahīñ aatā
bhalī thī shab ki guzar to ga.ī sahar to huī
girī fasīl jo zindāñ kī sar bahut phūTe
machā to shor magar ḳhalq ko ḳhabar to huī
muqāble meñ udhar teġh thī idhar gardan
maiñ suraḳh-rū huuñ ki tafrīq-e-ḳhair-o-shar to huī
harīf ho ga.e qurbāñ matā.a-e-duniyā par
unheñ bhī jaañ se koī shai azīz-tar to huī
zaban kaTi so kaTi bahs muKHtasar to hui
jo baat main ne kahi thi wo mo'atabar to hui
ye din to raat mein Dhalta nazar nahin aata
bhali thi shab ki guzar to gai sahar to hui
giri fasil jo zindan ki sar bahut phuTe
macha to shor magar KHalq ko KHabar to hui
muqable mein udhar tegh thi idhar gardan
main suraKH-ru hun ki tafriq-e-KHair-o-shar to hui
harif ho gae qurban mataa-e-duniya par
unhen bhi jaan se koi shai aziz-tar to hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.