zaban ke sath yahan zaiqa bhi rakkha hai
zabāñ ke saath yahāñ zā.iqa bhī rakkhā hai
tumhārā zikr tumhārā patā bhī rakkhā hai
sajā ke dhuup kaḌī aaj ghar se nikle haiñ
kisī ke saa.e ko zer-e-qabā bhī rakkhā hai
dhamāl ke liye kyā kam zamīn paḌtī hai
jo āsmān ko sar par uThā bhī rakkhā hai
kisī tarah se bhī raunaq baḌhe mire ghar kī
bujhā huā hī sahī ik diyā bhī rakkhā hai
mirā shi'ār ḳhayānat nahīñ amānat hai
milā hai zaḳhm jo us ko harā bhī rakkhā hai
sadā-e-dil-zadagāñ aa.e is taraf shāyad
darīcha ek makāñ kā khulā bhī rakkhā hai
zaban ke sath yahan zaiqa bhi rakkha hai
tumhaara zikr tumhaara pata bhi rakkha hai
saja ke dhup kaDi aaj ghar se nikle hain
kisi ke sae ko zer-e-qaba bhi rakkha hai
dhamal ke liye kya kam zamin paDti hai
jo aasman ko sar par uTha bhi rakkha hai
kisi tarah se bhi raunaq baDhe mere ghar ki
bujha hua hi sahi ek diya bhi rakkha hai
mera shi'ar KHayanat nahin amanat hai
mila hai zaKHm jo us ko hara bhi rakkha hai
sada-e-dil-zadagan aae is taraf shayad
daricha ek makan ka khula bhi rakkha hai
- Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 36)
- Author : Hamdam Kashmiri
- Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.