zaban KHamosh hai madum ho gai aawaz
zabāñ ḳhamosh hai mādūm ho ga.ī āvāz
na jaane kaun se sahrā meñ kho ga.ī āvāz
purānī yādoñ kī dahlīz par khaḌā huuñ maiñ
tamām dāman-e-dil ko bhigo ga.ī āvāz
bhaTak rahā huuñ maiñ kab se sarāb ke pīchhe
qarīb aa ke bahut duur ho ga.ī āvāz
tamām shikve gile ḳhatm ho ga.e pal meñ
phir aaj daaġh judā.ī ke dho ga.ī āvāz
samajh sakegā yahāñ kaun āñsuoñ kī zabāñ
jo dil meñ dard uThā band ho ga.ī āvāz
zaban KHamosh hai madum ho gai aawaz
na jaane kaun se sahra mein kho gai aawaz
purani yaadon ki dahliz par khaDa hun main
tamam daman-e-dil ko bhigo gai aawaz
bhaTak raha hun main kab se sarab ke pichhe
qarib aa ke bahut dur ho gai aawaz
tamam shikwe gile KHatm ho gae pal mein
phir aaj dagh judai ke dho gai aawaz
samajh sakega yahan kaun aansuon ki zaban
jo dil mein dard uTha band ho gai aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.