zaban KHamosh na rakhte to aur kya karte
zabāñ ḳhamosh na rakhte to aur kyā karte
ham un se kaise bhalā arz-e-mudda.ā karte
na dil ko dard-e-mohabbat se āshnā karte
na zindagī ke liye chārāgar davā karte
ye koī bhuul nahīñ hai jafā ke badle ham
hamārā farz yahī thā ki ham vafā karte
na ab bahār se matlab na gulsitāñ se ġharaz
na ham ḳhizāñ se koī shikva-o-gila karte
gila fuzūl hai 'farmān' dil-navāzī kā
vo aise kab the vafā kā sila adā karte
zaban KHamosh na rakhte to aur kya karte
hum un se kaise bhala arz-e-muddaa karte
na dil ko dard-e-mohabbat se aashna karte
na zindagi ke liye chaaragar dawa karte
ye koi bhul nahin hai jafa ke badle hum
hamara farz yahi tha ki hum wafa karte
na ab bahaar se matlab na gulsitan se gharaz
na hum KHizan se koi shikwa-o-gila karte
gila fuzul hai 'farman' dil-nawazi ka
wo aise kab the wafa ka sila ada karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.