zaban KHamosh-o-nazar be-qarar hai ab tak
zaban KHamosh-o-nazar be-qarar hai ab tak
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
zabāñ ḳhamosh-o-nazar be-qarār hai ab tak
chalā bhī aa ki tirā intizār hai ab tak
ye sab numūd-o-numā.ish hai ḳhaas tere liye
tire liye hī chaman meñ bahār hai ab tak
nafas nafas meñ hai be-tāb aarzū terī
nazar nazar ko tirā intizār hai ab tak
tirī jafāoñ se har qalb ho chukā nālāñ
zahe vo dil ki jo tujh par nisār hai ab tak
nahīñ kisī ko kisī par jo iḳhtiyār na ho
tujhe to dil pe mire iḳhtiyār hai ab tak
asar ḳhizāñ kā har ik shai se ho chukā zāhir
bahār-e-husn pe husn-e-bahār hai ab tak
zabān-e-ġhair tire raaz faash kartī hai
mirī nigāh magar parda-dār hai ab tak
chaman-tarāz-e-mohabbat hai dil kī gul-kārī
ravish-ravish mire ḳhuuñ kī bahār hai ab tak
tirī zabāñ ne jo va.ade kiye vafā na kiye
tirī zabāñ kā magar e.atibār hai ab tak
tumhāre ġham meñ use lutf kuchh milā aisā
hamāre dil ko ḳhushī nāgavār hai ab tak
diloñ meñ yaad tirī chuTkiyāñ sī letī hai
zabāñ pe zikr tirā baar baar hai ab tak
shahīd-e-nāz huiiñ kitnī bulbuleñ afsos
bahār apnī jagah pur-bahār hai ab tak
ye jāntā to maiñ yuuñ us ko dekhtā na 'junūñ'
mirī nigāh se vo sharm-sār hai ab tak
zaban KHamosh-o-nazar be-qarar hai ab tak
chala bhi aa ki tera intizar hai ab tak
ye sab numud-o-numaish hai KHas tere liye
tere liye hi chaman mein bahaar hai ab tak
nafas nafas mein hai be-tab aarzu teri
nazar nazar ko tera intizar hai ab tak
teri jafaon se har qalb ho chuka nalan
zahe wo dil ki jo tujh par nisar hai ab tak
nahin kisi ko kisi par jo iKHtiyar na ho
tujhe to dil pe mere iKHtiyar hai ab tak
asar KHizan ka har ek shai se ho chuka zahir
bahaar-e-husn pe husn-e-bahaar hai ab tak
zaban-e-ghair tere raaz fash karti hai
meri nigah magar parda-dar hai ab tak
chaman-taraaz-e-mohabbat hai dil ki gul-kari
rawish-rawish mere KHun ki bahaar hai ab tak
teri zaban ne jo wade kiye wafa na kiye
teri zaban ka magar eatibar hai ab tak
tumhaare gham mein use lutf kuchh mila aisa
hamare dil ko KHushi nagawar hai ab tak
dilon mein yaad teri chuTkiyan si leti hai
zaban pe zikr tera bar bar hai ab tak
shahid-e-naz huin kitni bulbulen afsos
bahaar apni jagah pur-bahaar hai ab tak
ye jaanta to main yun us ko dekhta na 'junun'
meri nigah se wo sharm-sar hai ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.