zaban khul na saki un ke ru-baru aksar

zaban khul na saki un ke ru-baru aksar
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
zabān khul na sakī un ke rū-barū aksar
lahūluhān huī dil kī aarzū aksar
tirī nazar kī navāzish hai yā kasak dil kī
nazar milī to baḌhī dard meñ numū aksar
diloñ kī baat to pāband-e-lab nahīñ hotī
huī hai āñkhoñ hī āñkhoñ meñ guftugū aksar
tirā vujūd bahāroñ se kam nahīñ lagtā
mahaktā phuul lage terī guftugū aksar
shikast ko na kabhī jāniye shikast 'adīb'
shikast meñ na Dhalā shauq-e-justujū aksar
zaban khul na saki un ke ru-baru aksar
lahuluhan hui dil ki aarzu aksar
teri nazar ki nawazish hai ya kasak dil ki
nazar mili to baDhi dard mein numu aksar
dilon ki baat to paband-e-lab nahin hoti
hui hai aankhon hi aankhon mein guftugu aksar
tera wujud bahaaron se kam nahin lagta
mahakta phul lage teri guftugu aksar
shikast ko na kabhi jaaniye shikast 'adib'
shikast mein na Dhala shauq-e-justuju aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.