zaban ko apni gunahgar karne wala hun
zabāñ ko apnī gunahgār karne vaalā huuñ
ḳhamosh rah ke hī iz.hār karne vaalā huuñ
maiñ karne vaalā huuñ har ḳhair-ḳhvāh ko māyūs
abhī maiñ jurm kā iqrār karne vaalā huuñ
chhupānī chāhiye jo baat mujh ko duniyā se
usī kā aaj maiñ iz.hār karne vaalā huuñ
vo jis ke ba.ad mujhe kuchh nahīñ Darā.egā
vo inkishāf sar-e-dār karne vaalā huuñ
machī hai khalbalī aisī nazar ke āñgan meñ
ki jaise maiñ tirā dīdār karne vaalā huuñ
hayā ke rañg se gulzār ho gayā chehra
pata hai us ko ki maiñ pyaar karne vaalā huuñ
zaban ko apni gunahgar karne wala hun
KHamosh rah ke hi izhaar karne wala hun
main karne wala hun har KHair-KHwah ko mayus
abhi main jurm ka iqrar karne wala hun
chhupani chahiye jo baat mujh ko duniya se
usi ka aaj main izhaar karne wala hun
wo jis ke baad mujhe kuchh nahin Daraega
wo inkishaf sar-e-dar karne wala hun
machi hai khalbali aisi nazar ke aangan mein
ki jaise main tera didar karne wala hun
haya ke rang se gulzar ho gaya chehra
pata hai us ko ki main pyar karne wala hun
- Book : Namak (Pg. 93)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.