zaban majbur hai lab par fughan hai
zabāñ majbūr hai lab par fuġhāñ hai
sarāpā dard merī dāstāñ hai
nigāh-e-yār bhī hai bad-gumāñ sī
ġhurūr-e-husn bhī dāman-kashāñ hai
firāq-e-dost kā kyā zikr āḳhir
visāl-e-yār bhī dil par girāñ hai
jahāñ par baat karnā hai qayāmat
vahāñ fariyād kī jur.at kahāñ hai
mirā ġham hai mirā sarmāya-e-zīst
mirā har ashk merā tarjumāñ hai
ḳhumār-ālūda nazroñ meñ hai jo kaif
vo saaqī tere sāġhar meñ kahāñ hai
agar mai husn hai to 'ishq 'fārūq'
ḳhumār-e-bāda-e-sho'la-fishāñ hai
zaban majbur hai lab par fughan hai
sarapa dard meri dastan hai
nigah-e-yar bhi hai bad-guman si
ghurur-e-husn bhi daman-kashan hai
firaq-e-dost ka kya zikr aaKHir
visal-e-yar bhi dil par giran hai
jahan par baat karna hai qayamat
wahan fariyaad ki jurat kahan hai
mera gham hai mera sarmaya-e-zist
mera har ashk mera tarjuman hai
KHumar-aluda nazron mein hai jo kaif
wo saqi tere saghar mein kahan hai
agar mai husn hai to 'ishq 'faruq'
KHumar-e-baada-e-sho'la-fishan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.