zaban miThi hai lab hanste hain surat bholi bholi hai
zaban miThi hai lab hanste hain surat bholi bholi hai
Ishrat Hafiz Abadi
MORE BYIshrat Hafiz Abadi
zabāñ mīThī hai lab hañste haiñ sūrat bholī bholī hai
sarāb-e-husn hai ye naav yaañ ham ne Dubo lī hai
sitamgar kah diyā ham ne to kyoñ tum is qadar bigḌe
chalo jaane bhī do ye āshiqoñ kī bolī Tholī hai
ilāhī ḳhair ho kyoñ pūchhte haiñ vo pata merā
qayāmat raah dikhlāne ko un ke saath ho lī hai
dayār-e-ishq meñ paiham safar ā.īn-e-qudrat hai
ajal hai zindagī is meñ ḳhamoshī us kī bolī hai
pas-az-muddat taqāzā-e-mohabbat hai ġhazal likkhī
ġhazal kyā hai chaman vaalo ye to gulchīñ kī jholī hai
zaban miThi hai lab hanste hain surat bholi bholi hai
sarab-e-husn hai ye naw yan hum ne Dubo li hai
sitamgar kah diya hum ne to kyon tum is qadar bigDe
chalo jaane bhi do ye aashiqon ki boli Tholi hai
ilahi KHair ho kyon puchhte hain wo pata mera
qayamat rah dikhlane ko un ke sath ho li hai
dayar-e-ishq mein paiham safar aain-e-qudrat hai
ajal hai zindagi is mein KHamoshi us ki boli hai
pas-az-muddat taqaza-e-mohabbat hai ghazal likkhi
ghazal kya hai chaman walo ye to gulchin ki jholi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.