zaban na hoti qalam na hote
zabāñ na hotī qalam na hote
zamīñ na hotī qadam na hote
koī jo thoḌā lihāz kartā
kisī pe itne sitam na hote
hamārā chehra bhī khilkhilātā
jo dil meñ ranj-o-alam na hote
kisī bhī raste pe chal nikalte
magar yuuñ sū-e-adam na hote
zarā jo ḳhud par dhiyān dete
hamāre ushshāq bhī kam na hote
kahā kisī kā jo maan lete
hayā se gardan meñ ḳham na hote
kahīñ bhī hote binā ham un ke
yahāñ ḳhudā kī qasam na hote
hazār bātoñ kā hai ḳhulāsa
jo vo na hote to ham na hote
zaban na hoti qalam na hote
zamin na hoti qadam na hote
koi jo thoDa lihaz karta
kisi pe itne sitam na hote
hamara chehra bhi khilkhilata
jo dil mein ranj-o-alam na hote
kisi bhi raste pe chal nikalte
magar yun su-e-adam na hote
zara jo KHud par dhiyan dete
hamare ushshaq bhi kam na hote
kaha kisi ka jo man lete
haya se gardan mein KHam na hote
kahin bhi hote bina hum un ke
yahan KHuda ki qasam na hote
hazar baaton ka hai KHulasa
jo wo na hote to hum na hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.