zaban ne jo bhi kaha arz-e-haal thoDi hai
zabāñ ne jo bhī kahā arz-e-hāl thoḌī hai
tumhāre bin hameñ jiinā muhāl thoḌī hai
jo ik jahāñ ko tahayyur meñ mubtalā kar de
tumhāre jhuuT meñ itnā kamāl thoḌī hai
na jaane kaun sī sāzish rachā.e rahte ho
mirā uruuj tumhārā zavāl thoḌī hai
tire savāl ke badle diyā javāb tujhe
mire javāb meñ koī savāl thoḌī hai
na koī dekh ke ThiTke na uñgliyāñ kaaTe
tire vajūd meñ aisā jamāl thoḌī hai
jo rāh-e-ishq se guzre amar vo kahlā.e
to koī ek hī zinda misāl thoḌī hai
ajiib baat hai har sher tum pe sādiq hai
vagarna dil meñ tumhārā ḳhayāl thoḌī hai
zaban ne jo bhi kaha arz-e-haal thoDi hai
tumhaare bin hamein jina muhaal thoDi hai
jo ek jahan ko tahayyur mein mubtala kar de
tumhaare jhuT mein itna kamal thoDi hai
na jaane kaun si sazish rachae rahte ho
mera uruj tumhaara zawal thoDi hai
tere sawal ke badle diya jawab tujhe
mere jawab mein koi sawal thoDi hai
na koi dekh ke ThiTke na ungliyan kaTe
tere wajud mein aisa jamal thoDi hai
jo rah-e-ishq se guzre amar wo kahlae
to koi ek hi zinda misal thoDi hai
ajib baat hai har sher tum pe sadiq hai
wagarna dil mein tumhaara KHayal thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.