zaban par aarzu ki baat lana saKHt mushkil hai
zabāñ par aarzū kī baat laanā saḳht mushkil hai
magar rāz-e-mohabbat kā chhupānā saḳht mushkil hai
yahī ā.īn-e-ulfat hai yahī zauq-e-vafā-koshī
agarche zaḳhm khā kar muskurānā saḳht mushkil hai
usī manzil kī jānib baḌh rahā hai har qadam apnā
jidhar ik ik qadam aage baḌhānā saḳht mushkil hai
hameñ le jā rahā hai iztirāb-e-shauq us dar par
jahāñ sunte haiñ qismat āzmānā saḳht mushkil hai
jalā.eñge charāġh-e-ārzū tārīkī-e-ġham meñ
ye kuchh āsāñ nahīñ hai ham ne maanā saḳht mushkil hai
tire har nāravā jaur-o-sitam ko bhuul saktā huuñ
tirī shān-e-karam ko bhuul jaanā saḳht mushkil hai
‘umūman muskurātā huuñ 'jamālī' jhuum jaatā huuñ
ki jis 'ālam meñ aksar muskurānā saḳht mushkil hai
zaban par aarzu ki baat lana saKHt mushkil hai
magar raaz-e-mohabbat ka chhupana saKHt mushkil hai
yahi aain-e-ulfat hai yahi zauq-e-wafa-koshi
agarche zaKHm kha kar muskurana saKHt mushkil hai
usi manzil ki jaanib baDh raha hai har qadam apna
jidhar ek ek qadam aage baDhana saKHt mushkil hai
hamein le ja raha hai iztirab-e-shauq us dar par
jahan sunte hain qismat aazmana saKHt mushkil hai
jalaenge charagh-e-arzu tariki-e-gham mein
ye kuchh aasan nahin hai hum ne mana saKHt mushkil hai
tere har narawa jaur-o-sitam ko bhul sakta hun
teri shan-e-karam ko bhul jaana saKHt mushkil hai
‘umuman muskuraata hun 'jamali' jhum jata hun
ki jis 'alam mein aksar muskurana saKHt mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.