zaban pe aane se pahle kahi gai hun main
zabāñ pe aane se pahle kahī ga.ī huuñ maiñ
kisī ḳhayāl meñ kho kar bunī ga.ī huuñ maiñ
mire ḳhayāl kī dahlīz itnī ūñchī hai
ki āsmāñ ke barābar chunī ga.ī huuñ maiñ
mirā ġhurūr mirī vahshatoñ pe haavī hai
kuchh aise vasf se mumtāz kī ga.ī huuñ maiñ
mire vajūd meñ pahroñ sukūt rahtā hai
na jaane kis kī sadā meñ guñdhī ga.ī huuñ maiñ
mire ḳhayāl se jal jaate haiñ charāġh-e-sahar
ki tāq-e-shams-o-qamar par rakhī ga.ī huuñ maiñ
vo roz ḳhvāb ke rauzan se dekhtā hai mujhe
ajiib Dor hai jis se bañdhī ga.ī huuñ maiñ
sabhī ke dil meñ 'diyā' pyaar kā jalātī huuñ
varaq varaq pe ujālā likhī ga.ī huuñ maiñ
zaban pe aane se pahle kahi gai hun main
kisi KHayal mein kho kar buni gai hun main
mere KHayal ki dahliz itni unchi hai
ki aasman ke barabar chuni gai hun main
mera ghurur meri wahshaton pe hawi hai
kuchh aise wasf se mumtaz ki gai hun main
mere wajud mein pahron sukut rahta hai
na jaane kis ki sada mein gundhi gai hun main
mere KHayal se jal jate hain charagh-e-sahar
ki taq-e-shams-o-qamar par rakhi gai hun main
wo roz KHwab ke rauzan se dekhta hai mujhe
ajib Dor hai jis se bandhi gai hun main
sabhi ke dil mein 'diya' pyar ka jalati hun
waraq waraq pe ujala likhi gai hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.