zaban thak gai ba-KHuda kahte kahte
zabāñ thak ga.ī bā-ḳhudā kahte kahte
tujhe be-vafā bā-vafā kahte kahte
karam goyā mujh ko hai dīvāngī bhī
zamāna huā ik sanā kahte kahte
alam haiñ ki shaġhl-e-farāġhat kī sauġhāt
sar-e-anjuman chup huā kahte kahte
zabāñ par yakāyak lagā qufl chup kā
kisī dūsre ko ḳhudā kahte kahte
dalīl-e-mohabbat use kyā maiñ detā
vo kahne lagā jab sunā kahte kahte
rakhūñ fāsla us gul-e-nau se 'ādil'
kahā tū ne mujh se ye kyā kahte kahte
zaban thak gai ba-KHuda kahte kahte
tujhe be-wafa ba-wafa kahte kahte
karam goya mujh ko hai diwangi bhi
zamana hua ek sana kahte kahte
alam hain ki shaghl-e-faraghat ki saughat
sar-e-anjuman chup hua kahte kahte
zaban par yakayak laga qufl chup ka
kisi dusre ko KHuda kahte kahte
dalil-e-mohabbat use kya main deta
wo kahne laga jab suna kahte kahte
rakhun fasla us gul-e-nau se 'adil'
kaha tu ne mujh se ye kya kahte kahte
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.