zabanen zahr uglen aur qalam tirshul ho jaen
zabāneñ zahr ugleñ aur qalam tirshūl ho jaa.eñ
phir is āb-o-havā meñ kis tarah ham phuul ho jaa.eñ
bhañveñ talvār meñ palkeñ badal jā.eñgī ḳhanjar meñ
ye satreñ mā-badaulat ko agar mausūl ho jaa.eñ
bhalā kyā fā.eda aise ḳhudāoñ kī parastish kā
jinheñ ye bhī nahīñ mā'lūm kab mā'zūl ho jaa.eñ
hai majbūrī vo phūloñ ko kaheñ kāñTe baġhair is ke
nahīñ mumkin ki dasht-e-ḳhār meñ maqbūl ho jaa.eñ
ye terī nāz-bardārī na ham se hogī ai duniyā
nahīñ vo ham jo kūche meñ kisī ke dhuul ho jaa.eñ
nazar aa.eñ tumhārī tarh har ik roz manzar par
zarā sā ham bhī ai pyāre jo nā-mā'qūl ho jaa.eñ
pate kī baat kah duuñ ye faqīroñ kī adā.eñ haiñ
kabhī mā'rūf ho jaa.eñ kabhī maj.hūl ho jaa.eñ
'nazīr' aise meñ ab koī gavāhī kaise mumkin ho
jo qātil ko kaheñ qātil vahī maqtūl ho jaa.eñ
zabanen zahr uglen aur qalam tirshul ho jaen
phir is aab-o-hawa mein kis tarah hum phul ho jaen
bhanwen talwar mein palken badal jaengi KHanjar mein
ye satren ma-badaulat ko agar mausul ho jaen
bhala kya faeda aise KHudaon ki parastish ka
jinhen ye bhi nahin ma'lum kab ma'zul ho jaen
hai majburi wo phulon ko kahen kanTe baghair is ke
nahin mumkin ki dasht-e-KHar mein maqbul ho jaen
ye teri naz-bardari na hum se hogi ai duniya
nahin wo hum jo kuche mein kisi ke dhul ho jaen
nazar aaen tumhaari tarh har ek roz manzar par
zara sa hum bhi ai pyare jo na-ma'qul ho jaen
pate ki baat kah dun ye faqiron ki adaen hain
kabhi ma'ruf ho jaen kabhi majhul ho jaen
'nazir' aise mein ab koi gawahi kaise mumkin ho
jo qatil ko kahen qatil wahi maqtul ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.