zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye
zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye
Iqbal Azeem
MORE BYIqbal Azeem
zabt bhī chāhiye zarf bhī chāhiye aur mohtāt pās-e-vafā chāhiye
zindagī dushmanoñ meñ bhī mushkil nahīñ aadmī meñ zarā hausla chāhiye
ham ko manzil-shanāsī pe bhī naaz hai aur ham āshnā-e-havādis bhī haiñ
jū-e-ḳhūñ se guzarnā paḌe bhī to kyā justujū ko to ik rāstā chāhiye
apne māthe pe bal Daal kar hameñ shīsh-mahloñ ke andar se jhiḌkī na do
ham bhikārī nahīñ haiñ ki Tal jā.eñge ham ko apnī vafā kā sila chāhiye
tum ne ārā.ish-e-gulsitāñ ke liye ham se kuchh ḳhuun māñgā thā muddat huī
tum se ḳhairāt to ham nahīñ māñgte ham ko is ḳhuun kā ḳhūñ-bahā chāhiye
ham ko har moḌ par dost milte rahe ham kabhī rāh-e-manzil meñ tanhā na the
kal ġham-e-dost thā ab ġham-e-zīst hai āshnā ko to ik āshnā chāhiye
merī maano to ik baat tum se kahūñ ye nayā daur hai is kā kyā Thiik hai
dostoñ se milo mahfiloñ meñ magar āstīnoñ kā bhī jā.eza chāhiye
had se baḌh kar mohabbat munāsib nahīñ is meñ andesha-e-bad-gumānī bhī hai
dushmanoñ se ta'alluq to hai hī ġhalat dostoñ meñ bhī kuchh fāsla chāhiye
jurm-e-be-bāk-goī kī pādāsh meñ zahr 'iqbāl' ko talḳhiyoñ kā milā
us ne is zahr ko hī suḳhan kar liyā is zamāne meñ ab aur kyā chāhiye
zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye
zindagi dushmanon mein bhi mushkil nahin aadmi mein zara hausla chahiye
hum ko manzil-shanasi pe bhi naz hai aur hum aashna-e-hawadis bhi hain
ju-e-KHun se guzarna paDe bhi to kya justuju ko to ek rasta chahiye
apne mathe pe bal Dal kar hamein shish-mahlon ke andar se jhiDki na do
hum bhikari nahin hain ki Tal jaenge hum ko apni wafa ka sila chahiye
tum ne aaraish-e-gulsitan ke liye hum se kuchh KHun manga tha muddat hui
tum se KHairaat to hum nahin mangte hum ko is KHun ka KHun-baha chahiye
hum ko har moD par dost milte rahe hum kabhi rah-e-manzil mein tanha na the
kal gham-e-dost tha ab gham-e-zist hai aashna ko to ek aashna chahiye
meri mano to ek baat tum se kahun ye naya daur hai is ka kya Thik hai
doston se milo mahfilon mein magar aastinon ka bhi jaeza chahiye
had se baDh kar mohabbat munasib nahin is mein andesha-e-bad-gumani bhi hai
dushmanon se ta'alluq to hai hi ghalat doston mein bhi kuchh fasla chahiye
jurm-e-be-bak-goi ki padash mein zahr 'iqbaal' ko talKHiyon ka mila
us ne is zahr ko hi suKHan kar liya is zamane mein ab aur kya chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.