zabt-e-dil ne bhi ajab swang racha rakkha hai
zabt-e-dil ne bhī ajab svāñg rachā rakkhā hai
jaise sach-much hī koī raaz chhupā rakkhā hai
ishq ne vāqa.ī e.ajāz dikhā rakkhā hai
dil se vahshī ko bhī raste se lagā rakkhā hai
dil kī har baat ko tañg aa ke taġhāful se tire
ittifāqāt-e-zamāna pe uThā rakkhā hai
aañkh vo ḳhud koī hushyār nahīñ hai yaaro
lekin us ne mujhe dīvāna banā rakhā hai
ye bhī kyā kam hai ke us shoḳh ne be-mehrī ko
ishva-o-nāz ke parde meñ chhupā rakkhā hai
vo abhī ā.eñge ham ko bhī ḳhabar hai ai dil
bār-hā tū ne ye afsāna sunā rakkhā hai
ḳhuub vāqif huuñ raqīboñ kī tan-āsānī se
rāsta ghar kā tire sab ko batā rakkhā hai
zabt-e-dil ne bhi ajab swang racha rakkha hai
jaise sach-much hi koi raaz chhupa rakkha hai
ishq ne waqai eajaz dikha rakkha hai
dil se wahshi ko bhi raste se laga rakkha hai
dil ki har baat ko tang aa ke taghaful se tere
ittifaqat-e-zamana pe uTha rakkha hai
aankh wo KHud koi hushyar nahin hai yaro
lekin us ne mujhe diwana bana rakha hai
ye bhi kya kam hai ke us shoKH ne be-mehri ko
ishwa-o-naz ke parde mein chhupa rakkha hai
wo abhi aaenge hum ko bhi KHabar hai ai dil
bar-ha tu ne ye afsana suna rakkha hai
KHub waqif hun raqibon ki tan-asani se
rasta ghar ka tere sab ko bata rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.