zabt-e-gham hai meri poshak meri izzat rakh
zabt-e-ġham hai mirī poshāk mirī izzat rakh
ātish-e-dīda-e-namnāk mirī izzat rakh
khul na jaa.e ye mirī aks-farebī kisī din
ā.ina-ḳhāna-e-idrāk mirī izzat rakh
merī miTTī se charāġh-e-dar-o-dīvār banā
dar-ba-dar kar ke mirī ḳhaak mirī izzat rakh
partav-e-dāġh-e-guzishta ruḳh-e-fardā pe na Daal
gardish-e-sā.at-e-saffāk mirī izzat rakh
baḌī mushkil se banā.ī hai ye izzat maiñ ne
jazba-e-kār-e-havasnāk mirī izzat rakh
yā samundar se mirī ḳhaak judā kar 'shāhid'
yā banā de mujhe tairāk mirī izzat rakh
zabt-e-gham hai meri poshak meri izzat rakh
aatish-e-dida-e-namnak meri izzat rakh
khul na jae ye meri aks-farebi kisi din
aaina-KHana-e-idrak meri izzat rakh
meri miTTi se charagh-e-dar-o-diwar bana
dar-ba-dar kar ke meri KHak meri izzat rakh
partaw-e-dagh-e-guzishta ruKH-e-farda pe na Dal
gardish-e-saat-e-saffak meri izzat rakh
baDi mushkil se banai hai ye izzat main ne
jazba-e-kar-e-hawasnak meri izzat rakh
ya samundar se meri KHak juda kar 'shahid'
ya bana de mujhe tairak meri izzat rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.