zabt-e-gham ka payam are tauba
zabt-e-gham ka payam are tauba
Nazeer Mohammad Arzu Jaipuri
MORE BYNazeer Mohammad Arzu Jaipuri
zabt-e-ġham kā payām are tauba
aur mire dil ke naam are tauba
zāhid aur mai kā jaam are tauba
un se ye nek kaam are tauba
hashr-sāmāñ hai hashr-manzar hai
terī mashq-e-ḳhirām are tauba
āshiqoñ kī namāz ai zāhid
sū-e-bait-ul-harām are tauba
maiñ vafā kī umiid rakhtā huuñ
tujh se o fitna-kām are tauba
paḌ ga.e haa.e jaan ke laale
ishq kā intiqām are tauba
'ārzū' chhoḌ kar dar-e-jānāñ
tauf-e-bait-ul-harām are tauba
zabt-e-gham ka payam are tauba
aur mere dil ke nam are tauba
zahid aur mai ka jam are tauba
un se ye nek kaam are tauba
hashr-saman hai hashr-manzar hai
teri mashq-e-KHiram are tauba
aashiqon ki namaz ai zahid
su-e-bait-ul-haram are tauba
main wafa ki umid rakhta hun
tujh se o fitna-kaam are tauba
paD gae hae jaan ke lale
ishq ka intiqam are tauba
'arzu' chhoD kar dar-e-jaanan
tauf-e-bait-ul-haram are tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.