zabt-e-gham par zawal kyon aaya
zabt-e-ġham par zavāl kyoñ aayā
shiddatoñ meñ ubaal kyoñ aayā
gul se khilvāḌ kar rahī thī havā
dil ko terā ḳhayāl kyoñ aayā
ishq to hijr keī alāmat hai
vasl kā phir savāl kyoñ aayā
aisā badlī ne kyā kiyā āḳhir
sūraj itnā niDhāl kyoñ aayā
suunī āñkhoñ meñ kyā milā tum ko
jhiil jaisā ḳhayāl kyoñ aayā
umr bhar ā.īne pe rakhī nazar
aks meñ phir ye baal kyoñ aayā
yūñhī pāgal havā ke chhūne se
tujh meñ dariyā uchhāl kyoñ aayā
ishq tum ko nahīñ huā to kaho
shā.irī meñ kamāl kyoñ aayā
zabt-e-gham par zawal kyon aaya
shiddaton mein ubaal kyon aaya
gul se khilwaD kar rahi thi hawa
dil ko tera KHayal kyon aaya
ishq to hijr kei alamat hai
wasl ka phir sawal kyon aaya
aisa badli ne kya kiya aaKHir
suraj itna niDhaal kyon aaya
suni aankhon mein kya mila tum ko
jhil jaisa KHayal kyon aaya
umr bhar aaine pe rakhi nazar
aks mein phir ye baal kyon aaya
yunhi pagal hawa ke chhune se
tujh mein dariya uchhaal kyon aaya
ishq tum ko nahin hua to kaho
shairi mein kamal kyon aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.