zabt-e-gham se lakh apni jaan par ban aae hai
zabt-e-ġham se laakh apnī jaan par ban aa.e hai
haañ magar ye izzat-e-sādāt to rah jaa.e hai
ham unhīñ ahl-e-vafā ke chāhne vāloñ meñ haiñ
āsmāñ jin ke liye sadiyoñ lahū barsā.e hai
kyā ḳhudā kī shaan hai is daur kā insān bhī
ik zarā muḳhtār hote hī ḳhudā ban jaa.e hai
hausle ke saath ham nikle to haiñ ghar se magar
dekhiye ye rāsta kis āstāñ tak jaa.e hai
ye shu.ūr-e-tishnagī hai yā ġhurūr-e-tishnagī
tishna-lab dariyā pe jā ke tishna-lab lauT aa.e hai
shān-e-hairat hai ki jis ko sang kah dete haiñ log
phir vahī dil TūTne par aa.ina kahlā.e hai
zabt-e-gham se lakh apni jaan par ban aae hai
han magar ye izzat-e-sadat to rah jae hai
hum unhin ahl-e-wafa ke chahne walon mein hain
aasman jin ke liye sadiyon lahu barsae hai
kya KHuda ki shan hai is daur ka insan bhi
ek zara muKHtar hote hi KHuda ban jae hai
hausle ke sath hum nikle to hain ghar se magar
dekhiye ye rasta kis aastan tak jae hai
ye shuur-e-tishnagi hai ya ghurur-e-tishnagi
tishna-lab dariya pe ja ke tishna-lab lauT aae hai
shan-e-hairat hai ki jis ko sang kah dete hain log
phir wahi dil TuTne par aaina kahlae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.