zabt-e-girya mein bhi girya to kiya hai maine
zabt-e-girya meñ bhī girya to kiyā hai maiñ ne
chup rahā huuñ pa tamāshā to kiyā hai maiñ ne
ab uḌā.ūñgā use tere falak par ik din
apnī miTTī ko ikaTThā to kiyā hai maiñ ne
dekhiye kis ke ḳhad-o-ḳhāl nazar aate haiñ
ek dīvār ko shīsha to kiyā hai maiñ ne
ab maiñ kuchh aur banūñ aisī bayābānī meñ
TuuT jaane kā irāda to kiyā hai maiñ ne
khul ke maiñ vasl kī bāteñ nahīñ kartā phir bhī
bātoñ bātoñ meñ taqāzā to kiyā hai maiñ ne
pyaar kī had hī nahīñ koī ye maanā lekin
jitnā ho saktā hai utnā to kiyā hai maiñ ne
shāyad aa jaa.e ḳhabar apne alāva huuñ kahāñ
ḳhud ko tanhā.ī meñ tanhā to kiyā hai maiñ ne
mujh meñ tashkīk bhī sar apnā uThā saktī hai
ai ḳhudā tujh pe bharosa to kiyā hai maiñ ne
jaane ab kaun galī meñ kahīñ niklūñ jā kar
ek vīrāne meñ rasta to kiyā hai maiñ ne
vo kahīñ hai ki nahīñ hai mujhe ma.alūm nahīñ
apne hone kā ishāra to kiyā hai maiñ ne
ab faqat āḳhirī ishq āḳhirī maqsūd-'vafā'
āḳhirī ishq ki pahlā to kiyā hai maiñ ne
zabt-e-girya mein bhi girya to kiya hai main ne
chup raha hun pa tamasha to kiya hai main ne
ab uDaunga use tere falak par ek din
apni miTTi ko ikaTTha to kiya hai main ne
dekhiye kis ke KHad-o-KHal nazar aate hain
ek diwar ko shisha to kiya hai main ne
ab main kuchh aur banun aisi bayabani mein
TuT jaane ka irada to kiya hai main ne
khul ke main wasl ki baaten nahin karta phir bhi
baaton baaton mein taqaza to kiya hai main ne
pyar ki had hi nahin koi ye mana lekin
jitna ho sakta hai utna to kiya hai main ne
shayad aa jae KHabar apne alawa hun kahan
KHud ko tanhai mein tanha to kiya hai main ne
mujh mein tashkik bhi sar apna uTha sakti hai
ai KHuda tujh pe bharosa to kiya hai main ne
jaane ab kaun gali mein kahin niklun ja kar
ek virane mein rasta to kiya hai main ne
wo kahin hai ki nahin hai mujhe malum nahin
apne hone ka ishaara to kiya hai main ne
ab faqat aaKHiri ishq aaKHiri maqsud-'wafa'
aaKHiri ishq ki pahla to kiya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.