zabt ka jitna asasa hai uThae jaenge
zabt kā jitnā asāsa hai uThā.e jā.eñge
ab mahājan karb ke mujh se na Taale jā.eñge
haq-parastoñ se salīboñ ko sajāyā jā.egā
aur kabhī sar un ke nezoñ par uchhāle jā.eñge
reza-reza ḳhvāhisheñ aur ārzūeñ zaḳhm-zaḳhm
mere ghar se jaane vaale aur kyā le jā.eñge
hai vahāñ to sirf sikkoñ kī numā.ish kā chalan
aap us bāzār meñ naqd-e-vafā le jā.eñge
dil kā sonā ruup kī chāñdī javānī kā nikhār
vaqt ke qazzāq aa kar sab uThā le jā.eñge
phuul chāhat ke bichhāte jā.eñge har raah meñ
nafratoñ ke ḳhaar ai 'rāhī' uThā le jā.eñge
zabt ka jitna asasa hai uThae jaenge
ab mahajan karb ke mujh se na Tale jaenge
haq-paraston se salibon ko sajaya jaega
aur kabhi sar un ke nezon par uchhaale jaenge
reza-reza KHwahishen aur aarzuen zaKHm-zaKHm
mere ghar se jaane wale aur kya le jaenge
hai wahan to sirf sikkon ki numaish ka chalan
aap us bazar mein naqd-e-wafa le jaenge
dil ka sona rup ki chandi jawani ka nikhaar
waqt ke qazzaq aa kar sab uTha le jaenge
phul chahat ke bichhate jaenge har rah mein
nafraton ke KHar ai 'rahi' uTha le jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.