zabt kab tak karegi KHamoshi
zabt kab tak karegī ḳhāmoshī
ek din bol uThegī ḳhāmoshī
tairtī hai jo merī āñkhoñ meñ
ashk ban kar bahegī ḳhāmoshī
shor jo bhī thā dil ke andar thā
kis ko ilzām degī ḳhāmoshī
ek din us ne TuuT jaanā hai
saath kab tak chalegī ḳhāmoshī
mere nāloñ se hai bahut nālāñ
mujh se ab laḌ paḌegī ḳhāmoshī
tum koī baat kyoñ nahīñ karte
aur kab tak rahegī ḳhāmoshī
āh-o-zārī kareñge mil kar ham
jab bhī mujh se milegī ḳhāmoshī
sī liye lab fahīm ab maiñ ne
guftugū ab karegī ḳhāmoshī
zabt kab tak karegi KHamoshi
ek din bol uThegi KHamoshi
tairti hai jo meri aankhon mein
ashk ban kar bahegi KHamoshi
shor jo bhi tha dil ke andar tha
kis ko ilzam degi KHamoshi
ek din us ne TuT jaana hai
sath kab tak chalegi KHamoshi
mere nalon se hai bahut nalan
mujh se ab laD paDegi KHamoshi
tum koi baat kyon nahin karte
aur kab tak rahegi KHamoshi
aah-o-zari karenge mil kar hum
jab bhi mujh se milegi KHamoshi
si liye lab fahim ab main ne
guftugu ab karegi KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.