zabt karna na kabhi zabt mein wahshat karna
zabt karnā na kabhī zabt meñ vahshat karnā
itnā āsāñ bhī nahīñ tujh se mohabbat karnā
tujh se kahne kī koī baat na karnā tujh se
kunj-e-tanhā.ī meñ bas ḳhud ko alāmat karnā
ik bagūle kī tarah DhūñDte phirnā tujh ko
rū-ba-rū ho to na shikva na shikāyat karnā
ham gadāyān-e-vafā jānte haiñ ai dar-e-husn
umr bhar kār-e-nadāmat pe nadāmat karnā
ai asīr-e-qafas sahr-e-anā dekh aa kar
kitnā mushkil hai tire shahr se hijrat karnā
phir vahī ḳhār-e-muġhīlāñ vahī vīrāna hai
ai kaf-e-pā-e-junūñ phir vahī zahmat karnā
sūrat māh-e-munīr ab ke sar-e-bām aa kar
ham ġharīboñ ko bhī kuchh ranj ināyat karnā
jamā karnā tah-e-mizhgāñ tujhe qatra qatra
raat bhar phir tujhe TukḌoñ meñ rivāyat karnā
kaam aisā koī mushkil to nahīñ hai 'ḳhāvar'
magar ik dast-e-hinā-rañg pe bai.at karnā
zabt karna na kabhi zabt mein wahshat karna
itna aasan bhi nahin tujh se mohabbat karna
tujh se kahne ki koi baat na karna tujh se
kunj-e-tanhai mein bas KHud ko alamat karna
ek bagule ki tarah DhunDte phirna tujh ko
ru-ba-ru ho to na shikwa na shikayat karna
hum gadayan-e-wafa jaante hain ai dar-e-husn
umr bhar kar-e-nadamat pe nadamat karna
ai asir-e-qafas sahr-e-ana dekh aa kar
kitna mushkil hai tere shahr se hijrat karna
phir wahi KHar-e-mughilan wahi virana hai
ai kaf-e-pa-e-junun phir wahi zahmat karna
surat mah-e-munir ab ke sar-e-baam aa kar
hum gharibon ko bhi kuchh ranj inayat karna
jama karna tah-e-mizhgan tujhe qatra qatra
raat bhar phir tujhe TukDon mein riwayat karna
kaam aisa koi mushkil to nahin hai 'KHawar'
magar ek dast-e-hina-rang pe baiat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.