zabt karne se hunar aur nikhar jata hai
zabt karne se hunar aur nikhar jaatā hai
pyaar had se jo guzartā hai bikhar jaatā hai
raat kī jhiil kā Thahrā huā paanī maiñ huuñ
kaun chupke se mirī tah meñ utar jaatā hai
us kī bātoñ meñ hai sandal kī salonī ḳhushbū
merā ghar us kī duāoñ se sañvar jaatā hai
jis kī dahlīz kī miTTī bhī mujhe pyārī thī
aaj dil us ke tasavvur se hī Dar jaatā hai
bahte dariyā kī ravānī ne sadā dī mujh ko
Dūbne vaalā hī sāhil pe ubhar jaatā hai
apnī chāhat kī hadoñ meñ hī use ab DhūñDo
moḌ aate hī ye rasta bhī Thahar jaatā hai
zabt karne se hunar aur nikhar jata hai
pyar had se jo guzarta hai bikhar jata hai
raat ki jhil ka Thahra hua pani main hun
kaun chupke se meri tah mein utar jata hai
us ki baaton mein hai sandal ki saloni KHushbu
mera ghar us ki duaon se sanwar jata hai
jis ki dahliz ki miTTi bhi mujhe pyari thi
aaj dil us ke tasawwur se hi Dar jata hai
bahte dariya ki rawani ne sada di mujh ko
Dubne wala hi sahil pe ubhar jata hai
apni chahat ki hadon mein hi use ab DhunDo
moD aate hi ye rasta bhi Thahar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.